Bawla Sa Sapna Lyrics - Shaadi Ke Side Effects (2014)

Song : Bawla Sa Sapna
Singer : Mohit Chauhan
Music : Pritam
Lyrics : Swanand Kirkire

Bawla Sa Sapna Lyrics :


Aao ji aao suno tumko sunaoon
Ek sapne ki story…
Ki meri palkon ki tapri ke neeche
Woh rehta tha sapna tapori.

Ambar mein udne ka shauk usey tha
Akl thi thodi
Arey chupke se tupke se
Karna woh chahta tha
Moon ki chori.

Ye bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Meri maanta nahi hai
Mera hi hai woh sapna

Ye bavla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aakhir
Nahi jaanta tha sapna…

Sapne ka tha.. beta sapnu
Pyara pyara.. bada dulara.. Bola.
Papa aana jaldi jaldi tum chanda laana
Hadbadi mein.. gadbadi mein
Sapna nikla sambhla.. phisla
Udaa pahuncha.. pahuncha
Chaand ke ghar gaya

Woh raat thi amaawsi
Chutti pe tha ji chanda
Dabe paaon jo gaya tha
Khaali haath lauta banda
Ye bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aakhir
Nahi jaanta tha sapna

Hmm baadal baadal.. ghoome paagal
Sapnu ko ab kaise dikhaye
Chehra.. chehra.. chehra
Ya ya ye yeah apna chehra

Tabhi sadak par dikha ek
Ujla ujla.. pyara pyara sheesha.. sheesha
Sheeshe mein usko jaane kya dikha

Sapnu ko jaa dikhaya
Sheeshe mein uska chehra
Bola mere pyaare sapnu
Tu hi hai chaand apna
Mera bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aakhir
Nahi jaanta tha sapna

Ye bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Meri maanta nahi hai
Mera hi hai woh sapna

Ye bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aakhir
Nahi jaanta tha sapna…

Previous
Next Post »